Kabhi De Mudhe Sahara Kabhi Rasta Dikhaye, Nisar Shayari.

Kabhi De Mudhe Sahara Kabhi Rasta Dikhye,
Mere Sath Chal Rahe Hai Tere Chaahto Ke Saye

Hai badi aajeeb Manjil Ye kadam na dagmagaye,
Mudhe Dar hai chahto me mera dil na toot jaye.

Meri Aakh me Musalsal Jo bhataq rahe hai Anshu,
Koi In  Musafiro Ko Jara Rasta Dikhaye.

Mera Pyar Kar Raha hai Tere haq me ye duaaye.
Aai Mujhe Rulane wale Tu hamesha Mushkuraye.

Tu Humsafar tha jab taq Mere sath jamana,
Tere bad ho Gaye hai mere apne hi paraye.

Mudhe apni shakl dekhe kai sal ho gaye hai,
Koi Mera Dost Aaye Mudhe Aaena Dikhaye.

Kaha Lake Rakh Diya Hai Ye Mere Junu Ne Mudhko,
Mudhe Ab tere Alawa Kahi Kuch Nazar Na Aaye.

Mai Agar Rahu Jo Jinda Tere Pyar Ko bhulakar,
Mere Yar Jindgi Me Wo Ghadi Kabhi Na Aaye. 
                                                                                    Nisar Ahamad



No comments:

Post a Comment

Aaine Ki Nazar Lag Na Jaye Kahi, Jane Ja Apna Sadqa Utara Karo.

Ye Tabassum Ye Aariz Ye Rausan Zabi, Ye Aada Ye Nigahe Ye Julfe Bari Aaine Ki Nazar Lag Na Jaye Kahi, Jane Ja Apna Sadqa Utara Karo . ...